Polaroid


(1) Namaz ki niyat kar ke ALLAH HO AKBAR kahte time apne dono hath(hand) kano (ear) tak uthaye. . .
(jaisa ki uper photo mein dikh raha hai.)

(2) phir naaf (navel) ke niche hath bandhe or apne daye (right) hath(hand) se baya (left) hath ko kas k pakarh le, or dua parhe.
(SUBHANA KALLA HUMMA,WABI HAMDIKA,WATABA RAKAS MUKA WATA ALA JADDUKA WALA ILAHA GAIRUK,)
phir (AUZ BILLAHI MINASH SHAITANIR RAZEEM- BISMILLA HIR RAHMANIR RAHEEM) parh kar Sure fateha parhe (ALHAM DULILLAHI RABBIL AALAMEEN,ARRAHMANIR RAHEEM,MAALIKI YAU MIDDEEN,IYYA KANA BODU WA IYYA KANAS TAYEEN,EHDINAS SIRATAL MUSTAQEEM,SIRTAL LAZEENA AN AMTA ALAIHIM,GAIRIL MAGDOOBI ALAIHIM WALAD DAALLEEN,) -AMEEN- ab ap ko quran mein se jaha se kuch bhi yaad ho 3 ayat k barabar koi sure parhe.


Ab ALLAH HO AKBAR kahte hue (ROKO) Mein jaye.or parhe (SUBHANA RABBIYAL AZEEM) 3,YA 7 bar,apne hatho se guthne pakrhe or ungliya khuli rakkhe, bazoo badan se alag rakkhe.or pair(leg) k beech mein 4 ungli ka fasla rakkhe.

(4) ab (SAMI ALLAHO NIMAN HAMIDA),kahte hue sidhe kharha ho jaye.or kahe (RABBANA LAKAL HAMD,)
Note-: ye tareeqa akele namaz parhne ka hai.

Phir ALLAH HO AKBAR Kahte hue sajde mein chala jaye.yani sabse pahle apne GUTHNO Ko zameen par Rakkhe.kaano(ear) ke barabar hath (hand) zameen par rakkhe.phir dono hatho k beech mein apni PESHANI (sar) rakkhe or sajde k time Peshani or naak(nose) dono zameen par rakkh de.or hath or pair ki ungli .QIBLA (pashchim) ki taraf rakkhe.or sajde mein kam se kam 3 bar (SUBHANA RABBIYAL AALA) kahe.phir ALLAH HO AKBAR kahta hua uthe or khoob achchi tarah baith jaye,tab dosra sajda ALLAH HO AKBAR kah kar kare.or kam se kam 3 bar (SUBHANA RABBIYAL AALA) kah ke ALLAH HO AKBAR kahta hua kharha ho jaye.or zameen par hath rakh kar na uthe.phir jab kharha ho jaye to phir BISMILLAH parhe or SURE PATIHA (yani ALHAMDULILLAH.akheer tak parhe.uske baad koi quran se koi 3 ayat parhe.isi tarah dusri rakaat puri kare, jab dosra sajda kar kar chuke.

Next->

To ab baye(left) pair(leg) ko bicha kar us par baithe or Dahina (right) pair (leg) kharha rakkhe.ungliya QIBLE (pashchim) ki taraf rakkhe. Or ye (ATTAHIYAT) parhe.
(ATTAHIYATO LILLAHI WASSALA WATO WAT TAYYIBATO. ASSALAMO ALAIKA AYYIYUHAN NABIYYO WA RAHMA TULLAHI WABAR KA TUH,ASSALAMO ALAINA WA ALA IBADIL LAHIS SALIHEEN,(kalma) ASHHADO ALLAH ILAHA ILLAL LAHO WA ASHHADO ANNA MUHAMMADAN ABDUHO WA RASOOLUH.)
or jab kalma par pahuche to hatho ki beech ki ungli or anghothe se halka (gola) bana le.or LA ILAHA kahte time kalma ki ungli uthaye or ILLALLAH kahne k time chuka de.or agar 4 rakat parhna hai to is dua se zayada kuch na parhe.balki fauran ALLAH HO AKBAR kah ke kharha ho jaye.or 2 rakate or parh le pahle ki tarah.or farz namaz mein pahli 2 rakato mein.ALHAMDULLI ke sath or koi sure mila kar parhe.or uske baad wali 2 rakato me sirf ALLHAMDULLIA Puri parhe.or jab 4 rakat ho jaye to.ATTAHIYAT parhe or uske baad DAROOD SHAREEF parhe_ (ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIO WA ALA ALI MUHAMMADIN KAMA SALLAITA ALA IBRAHEEMA WA ALA AALI IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED - ALLAHUMMA BARIK ALA MUHAMMADIU WA ALA ALI MUHAMMADIN KAMA BA RAKTA ALA IBRAHEEMA WA ALA IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED.
+dua. .RABBANA ATINA FIDDUNYA HASANATAU WAFIL AKHIRATI HASANATAU WAQINA AZABAN NAAR..ya jo dua yaad ho. .

Ab iske baad salam phere .apni dahini side muh ghumaye or kahe (ASSALAMO ALAIKUM WARAHMATULLAH)
phir bayeen taraf muh ko ghumaye or kahe ASSALAMO ALAIKUMWA RAHMATULLA)

namaz puri ho gayi ab aap ko namaz ke farz or mustahab or sunnat batayenge.